Agar aap bhi kisi Indian family mein bade huye hai, toh aapke Sundays bhi bohot yaadgaar rahe honge. Subah subah ghar mein aloo paratha ki khushboo, raat mein Tv par bollywood movie, aur sabse important, shaam ko apne parivaar ya doston ke saath wo mazadaar Ludo ke khel.

Lekin jo Ludo hum khelte the unke rules aksar alag huya karte hai. Aaj hum dekhenge ki Ludo ke “official rules” aur ghar ke desi Ludo ke rule mei kitna farq hai. Agar aap bhi Ludo ke fan hai, toh taiyaar ho jaiyein apne bachpan ke un yadgaar palo ko wapas taaza karne ke liye.

 

Desi Ludo Rules

Ghar ke desi Ludo ka game start hota hai apne pasandida color ko chunne se. Humein jo color accha lagta tha wo hum apne liye chun lete the.

Ludo ka khel shuru hota tha jab ek khiladi dice mei six roll karta tha. Lekin humne aksar bachpan mei dekha hai ki agar lambe samay tak kisi ko bhi six nahi aa raha ho, toh koi bhi number roll karke khel shuru kar dete hai. Aakhir game jaldi shuru hone se matlab tha.

Dice mei six aana bohot special mana jaata hai. Jitne six utne move. Agar hume teen ya chaar six aate the toh hum bohot khush ho jaate the ki aakhir hum khel mei aage badh gaye. Lekin official Ludo ke rule isse bilkul alag hote hai.

Desi Ludo ka maqsad tha masti aur sirf masti. Isiliye hum rules ko bhi apne hisaab se change kar lete the.

Aapko yaad toh hoga ki bohot baar aisa hota tha ki khel k lambhey khich jaata hai. Toh khel toh jaldi khatam karne ke liye ya fir boring hone se bachane ke liye hum decide karte the ki koi kisi goti ko nehi khayega. Yaani koi kisiko attack nehi karega.

Desi Ludo ka mazaa kuch alag hi hota tha. Hein na? Rules change hone ke saath saath khel bhi aur mazedaar ho jaata tha.

Yaad hai hum Ludo mein ‘safe zones’ bhi banate the? Har ek color ke ek square ko hum safe zone banate the jaha aapko koi bhi attack nahi kar sakta. Ye safe zones hum apne gotiyon ko bachane ke liye, aur opponent ko sahi samay pe attack karne ke liye istemaal karte the.

Humne aise bohot se rules banaye honge jo exist hi nahi karte the. Ludo ke official rules kaafi alag hote hai ghar ke Ludo ke rules se.

India ke kayi gaon mei Ludo ka hi ek desi version bhi khela jaata hai jise “Astha Changa” ke naam se jaana jaata hai. Yeh khel Ludo ke bohot mel khaata hai. Is khel mein log Ludo jaisa hi ek grid chalk ki madad se ground mei banate hai. Yaha dice ke jagah patthar ka istemaal hota hai aur ise 2-4 players khel sakte hai. Inke rules bhi ludo jaise hi hote hai.

Ludo ek aise board game hai jsike kayi versions duniya ke kayi alag alag jagah pe khela jaata hai. Inke rules kaafi milte jhulte hai. Ab aaiye hum dekh lete hai ki jo Online Ludo hai, unke official rules kya hai.

Online Ludo abhi bohot hi popular ho gaya hai. Logo ke paas ek saath apne parivaar aur doston ke saath ek ghar mei baithkle Ludo khelne ke liye samay nehi milta hai. Sab apne zindagi aur kaam mei vyasth rehte hai. Lekin ye online Ludo aap apne smartphone aur internet connection ke madad se kahi bhi aur kisi ke saath bhi khel sakte hai.

 

Online Ludo ke Official Rules

Online Ludo 2-4 players ke beech mein khela jaata hai. Ghar ke Ludo mei kaise hum apne marzi ke colors chun lete the, lekin online Ludo mei ye option nahi diya jaata hai. Aapko randomly jo house assign hota hai aap usi mein khelte hai.

Yaha bhi, aapko dice mei six roll karne ke baad hi aap khelna start kar sakte hai. Jab tak aapko six nehi milta hai tabtak aapko wait karna hota hai.

Har khiladi apne ghar ya pocket mein 4 coins ya gotiyon ke saath khel shuru karte hai

Traditional Ludo ke jaise hi Online Ludo ka bhi udeshya hota hai ki sabse pehle apne 4 gotiyon ko home pocket tak pohanchaya jaye

Size aane par, khiladi choose kar sakta hai ki woh goti ko apne house se nikaale ya pehle se released koi goti hai toh use aage badhaye.

Agar dice mei six aata hai ko khiladi ko dobara roll karna padta hai. Agar lagatar teen baar six aaye, toh use rejected mana jaata hai aur khiladi ko phir se dice roll karna padta hai. Idhar ghar ke ludo jaisa nehi hota hai ki jitna six utna score.

Aksar ghar ke Ludo mei ek dice mei six aur dusre mei agar five aata hai toh hum do alag goti ko move karte the, ek six points aur ek five points. Lekin online mein aisa nahi hota. Dice ke score ko ek hi goti par poora apply karna hota hai, alag alag part mei nehi. Jaise agar six aur five aaye, toh ek hi goti ko pehle six aur fir five moves aage le jana hota hai.

Agar koi goti aise square pe land kare jo kisi aur color ki goti ke paas hai, toh doosre color ka goti wapas house mein chala jata hai aur naye goti us square ko occupy kar leta hai.

Agar koi khiladi kisi dusre khiladi ke goti ko capture kar leta hai toh use bonus roll milta hai. Agar bonus roll mein firse kisi aur ki goti ko capture kar leta hai toh ek aur bonus roll milta hai.

Backpan Ke Ludo rules

Ludo board mein kuch specific squares hote hain jo “safe zones” kehlate hain. Yahan par agar aapka token hai, toh dusra player aapko wahan “kat” nahi sakta. Ye usually wo squares hote hain jo har color ke starting point ke aas-paas ya middle mein hote hain.

Jab aap apne color ke saare tokens ko board par move karte hue victory path mein laate hai, toh wo automatically safe ho jaate hain. Yani ab unhe koi player attack nahi kar sakta, aur aapko bas dice roll karke steps lete hue apne tokens ko board ke beech mein lana hota hai.

Online Ludo mein har player ke paas limited time hota hai apne turn mein dice roll karne aur move karne ke liye. Agar tum apne turn mein decide nahi karte, toh game automatically tumhare dice roll aur move ko decide kar dega.

Online Ludo ki ek bohot Mazedaar cheez yeh hai ki yaha alag alag game modes bhi hote hai jaise Classic Mode ya Quick Mode.

Classic Mode: Ye traditional Ludo jaisa hota hai jisme aapko apne saare 4 tokens ko home se nikaal ke center tak le jaana padta hai. Thoda lamba hota hai, par Ludo ka pura experience milta hai.

Quick Mode/Speedy Ludo: Is mode mein har player ke paas kam tokens hote hain, jaise 2 ya 3 tokens. Game thoda fast ho jata hai aur jaldi khatam ho jaata hai. Agar aapke paas time kam hai lekin apko Ludo ka maza lena hai toh yeh mode aapke liye perfect hai.

 Chaliye ab dekh lete hai Online Ludo mei jeet haasil karne ke kuch bonus tips

Ludo mein dice roll apke luck ke upar depend karta hain, lekin jo bhi number dice pe aaye, aap apne gotiyon ko smartly move karein. Hamesha apne chaaro gotiyon ko aage badhaye taaki ek goti katne pe aap disturb na ho jaye

Online Ludo mein sab apne apne tareeke se soch ke move karte hai. Dusre khiladiyon ka game dhyan se dekhe aur unki strategy observe kare. Isse aap unka next move predict kar sakte hai.

Jab bhi mauka mile, safe zone mei apne tokens ko rakhne ki koshish karein. Aise aap attacks se bach sakte hai.

Aur aakhri aur sabse important baat, hamesha timer pe dhyan rakhe.

Toh bas yehi hain online ludo ke mazedaar rules! Online Ludo ne hamare purane yaadon ko ek naye tareeke se taaza kiya hai, jaha aapko na toh kisi board is zaroorat hai aur na hi kahi jaane ki. Aap bas app kholein, aur kisi bhi waqt and kahi bhi apne doston, parivaar ya random desh videsh ke logon ke saath khelna shuru karein.

Lekin yaad rakhiyein, game mein jeet ka secret sirf dice ke number pe nahi hota, strategy, skills, safe zones, aur thoda bohot luck bhi zaroori hai.

Toh agli baar jab aap online ludo khelein, toh apne bachpan ke Ludo ki energy aur online Ludo ke rules ke saath smartly apne gotiyon ko move karte huye game mein jeet haasil karein.

Aur sabse mazedaar baat yeh hai ki Online Ludo mein aap real money bhi jeet sakte hai! Aap jitna badhiya khelenge utni hi raashi aap ghar le jaa sakte hai. Yeh option aapke ghar wale Ludo mein nahi hota hai. Toh aapne dekha ki Ludo  kyun itna popular hai.

Toh aap bhi aaj hi ludo app download karein aur Online Ludo ke maze ka lutf uthayein!

Loading